qarnon purana waqt ko lalkarta hua
qarnoñ purānā vaqt ko lalkārtā huā
ik shahr hai hamāre bhī andar basā huā
suljhā rahā thā arz-o-samā kī vo gutthiyāñ sabhī
sab ke liye ḳhud ek mo'amma banā huā
shāyad nizām-e-shamsī ke siine kā ḳhvāb thā
maiñ dekhtā rahā jise āñkheñ banā huā
ab us ko āftāb meñ Dhalne kā hukm do
ik ashk-e-ġham hai nok-e-mizha par khaḌā huā
ḳhud meñ na jazb kar luuñ kahīñ terī zaat ko
sar-tā-qadam maiñ zauq-e-talab meñ rachā huā
phir chhā rahā hai zehn par ik saaya dosto
sab kuchh sameTtā huā ḳhud phailtā huā
tanhā tumhīñ to markaz-e-asrār-e-dil na the
maiñ bhī vahīñ kahīñ thā tumheñ dekhtā huā
rūheñ na jaane kaun sī duniyā meñ kho ga.iiñ
ik jism chīḳhtā hai saḌak par paḌā huā
kab tak rahūñ hazār jahāñ-dar-jahāñ liye
maiñ darmiyāñ azal aur abad ke khaḌā huā
ummīd koī harf-o-hikāyat se thī kise
lekin nigāh-e-nāz tujhe bhī ye kyā huā
āñkhoñ meñ aa ke jaan khaḌī dekhtī rahī
hāthoñ se dāman-e-ġham-e-dil chhūTtā huā
'hairat' kahāñ the dast-ba-dil dekhte hue''
bārish meñ bhīgtā huā sho'la banā huā
qarnon purana waqt ko lalkarta hua
ek shahr hai hamare bhi andar basa hua
suljha raha tha arz-o-sama ki wo gutthiyan sabhi
sab ke liye KHud ek mo'amma bana hua
shayad nizam-e-shamsi ke sine ka KHwab tha
main dekhta raha jise aankhen bana hua
ab us ko aaftab mein Dhalne ka hukm do
ek ashk-e-gham hai nok-e-mizha par khaDa hua
KHud mein na jazb kar lun kahin teri zat ko
sar-ta-qadam main zauq-e-talab mein racha hua
phir chha raha hai zehn par ek saya dosto
sab kuchh sameTta hua KHud phailta hua
tanha tumhin to markaz-e-asrar-e-dil na the
main bhi wahin kahin tha tumhein dekhta hua
ruhen na jaane kaun si duniya mein kho gain
ek jism chiKHta hai saDak par paDa hua
kab tak rahun hazar jahan-dar-jahan liye
main darmiyan azal aur abad ke khaDa hua
ummid koi harf-o-hikayat se thi kise
lekin nigah-e-naz tujhe bhi ye kya hua
aankhon mein aa ke jaan khaDi dekhti rahi
hathon se daman-e-gham-e-dil chhuTta hua
'hairat' kahan the dast-ba-dil dekhte hue
barish mein bhigta hua sho'la bana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.