qarya-e-tishna-dahan kis ki taraf dekhega
qarya-e-tishna-dahāñ kis kī taraf dekhegā
aur ye sail-e-ravāñ kis kī taraf dekhegā
thartharātī huī ye raushnī dekhegī kidhar
raqs kartā ye dhuāñ kis kī taraf dekhegā
jis se bāñdhe the tire haath usī rassī kā
tere hāthoñ pe nishāñ kis kī taraf dekhegā
yā to baaqī use rahnā hai yā jal jaanā hai
muḳhtasar ye ki makāñ kis kī taraf dekhegā
un kā kahnā hai ki nā're yuuñ lagā.e jaa.eñ
shor meñ kaun kahāñ kis kī taraf dekhegā
būḌhī hotī huī bastī na hirāsāñ honā
dekhnā saarā jahāñ kis kī taraf dekhegā
qarya-e-tishna-dahan kis ki taraf dekhega
aur ye sail-e-rawan kis ki taraf dekhega
thartharaati hui ye raushni dekhegi kidhar
raqs karta ye dhuan kis ki taraf dekhega
jis se bandhe the tere hath usi rassi ka
tere hathon pe nishan kis ki taraf dekhega
ya to baqi use rahna hai ya jal jaana hai
muKHtasar ye ki makan kis ki taraf dekhega
un ka kahna hai ki na're yun lagae jaen
shor mein kaun kahan kis ki taraf dekhega
buDhi hoti hui basti na hirasan hona
dekhna sara jahan kis ki taraf dekhega
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 102)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.