qarya-e-wahm-o-guman tak aae
qarya-e-vahm-o-gumāñ tak aa.e
ham tire saath kahāñ tak aa.e
apnī kam-zarfī kā iz.hār karūñ
rāz-e-sar-basta zabāñ tak aa.e
baat kar dī to pashemānī kyā
tiir vāpas na kamāñ tak aa.e
pyaas jo apnī bujhānā chāhe
halqa-e-tishna-labāñ tak aa.e
abhī jaarī hai nahīñ kī gardān
dekhiye kaise vo haañ tak aa.e
mutma.in phirte haiñ yuuñ sahrā meñ
jaise ham āb-e-ravāñ tak aa.e
ham bahāroñ kī talab meñ 'nāsir'
āḳhirash shahr-e-ḳhizāñ tak aa.e
qarya-e-wahm-o-guman tak aae
hum tere sath kahan tak aae
apni kam-zarfi ka izhaar karun
raaz-e-sar-basta zaban tak aae
baat kar di to pashemani kya
tir wapas na kaman tak aae
pyas jo apni bujhana chahe
halqa-e-tishna-laban tak aae
abhi jari hai nahin ki gardan
dekhiye kaise wo han tak aae
mutmain phirte hain yun sahra mein
jaise hum aab-e-rawan tak aae
hum bahaaron ki talab mein 'nasir'
aaKHirash shahr-e-KHizan tak aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.