qarz ki mohlat guzar gai hai
qarz kī mohlat guzar ga.ī hai
bhaa.ī muddat guzar ga.ī hai
vasl ke da.avedār kaho kyā
hijr kī iddat guzar ga.ī hai
ham to aise rone lage haiñ
jaise mohabbat guzar ga.ī hai
dasht-e-junūñ! majnūñ ke ġham meñ
kyā be-vahshat guzar ga.ī hai
ishq se be-parvā logoñ kī
umr salāmat guzar ga.ī hai
ai kuffār-e-tishna-badnāñ
shab-e-jahālat guzar ga.ī hai
ghuur añdhere meñ parchhā.īñ
kar ke harakat guzar ga.ī hai
dil se hasrat kā jaanā thā
aañkh se hairat guzar ga.ī hai
'shafaq'! mahūrat ke chakkar meñ
sā.at-e-hijrat guzar ga.ī hai
qarz ki mohlat guzar gai hai
bhai muddat guzar gai hai
wasl ke dawedar kaho kya
hijr ki iddat guzar gai hai
hum to aise rone lage hain
jaise mohabbat guzar gai hai
dasht-e-junun! majnun ke gham mein
kya be-wahshat guzar gai hai
ishq se be-parwa logon ki
umr salamat guzar gai hai
ai kuffar-e-tishna-badnan
shab-e-jahaalat guzar gai hai
ghur andhere mein parchhain
kar ke harakat guzar gai hai
dil se hasrat ka jaana tha
aankh se hairat guzar gai hai
'shafaq'! mahurat ke chakkar mein
saat-e-hijrat guzar gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.