qasd-e-jaan TuT gaya qasd-e-wafa TuT gaya
qasd-e-jāñ TuuT gayā qasd-e-vafā TuuT gayā
ek hī zarb meñ miTTī kā ḳhudā TuuT gayā
aañkh meñ chubhne lagīñ kircheñ to ehsās huā
ḳhvāb ke saath mirā ḳhvāb-numā TuuT gayā
vaqt kī chaal meñ duniyā hī ujaḌ jaatī hai
kyā huā terā jo ik ḳhvāb zarā TuuT gayā
dil se ham khelā kiye the to yahī honā thā
aa.ina chhūT ke hāthoñ se girā TuuT gayā
aaj fursat hai zarā sair kareñ bātin kī
jā.eza lene de kyā baaqī hai kyā TuuT gayā
tum se kyā jurm huā ham se kahāñ bhuul huī
kaise 'mumtāz' ye rishtoñ kā sirā TuuT gayā
qasd-e-jaan TuT gaya qasd-e-wafa TuT gaya
ek hi zarb mein miTTi ka KHuda TuT gaya
aankh mein chubhne lagin kirchen to ehsas hua
KHwab ke sath mera KHwab-numa TuT gaya
waqt ki chaal mein duniya hi ujaD jati hai
kya hua tera jo ek KHwab zara TuT gaya
dil se hum khela kiye the to yahi hona tha
aaina chhuT ke hathon se gira TuT gaya
aaj fursat hai zara sair karen baatin ki
jaeza lene de kya baqi hai kya TuT gaya
tum se kya jurm hua hum se kahan bhul hui
kaise 'mumtaz' ye rishton ka sira TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.