qasmen wade uTha ke laiye nan
qasmeñ va.ade uThā ke lā.iye naañ
vāste kuchh ḳhudā ke lā.iye naañ
ham to un ke hī intizār meñ haiñ
aap un ko bulā ke lā.iye naañ
aaj kuchh bāt-chīt karnī hai
aaj chaa.e banā ke lā.iye naañ
ab mujhe niiñd aa rahī hai bahut
koī lorī uThā ke lā.iye naañ
un ko mahsūs karnā chāhtā huuñ
jhoñke bād-e-sabā ke lā.iye naañ
jin guloñ se hai pyaar 'ābid' ko
un kī ḳhushbū churā ke lā.iye naañ
qasmen wade uTha ke laiye nan
waste kuchh KHuda ke laiye nan
hum to un ke hi intizar mein hain
aap un ko bula ke laiye nan
aaj kuchh baat-chit karni hai
aaj chae bana ke laiye nan
ab mujhe nind aa rahi hai bahut
koi lori uTha ke laiye nan
un ko mahsus karna chahta hun
jhonke baad-e-saba ke laiye nan
jin gulon se hai pyar 'abid' ko
un ki KHushbu chura ke laiye nan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.