qatar mein uge hue hare-bhare daraKHt hon
qatār meñ uge hue hare-bhare daraḳht hoñ
tirā guzar jahāñ se ho dhule dhule daraḳht hoñ
ḳhizāñ kā rang mushkbū fazā meñ kyoñ bikhar gayā
maiñ chāhtā huuñ shahr meñ khule khule daraḳht hoñ
hazār zā.iqoñ ke giit gungunā.eñ baaġh meñ
tire jamāl se lade hue mire daraḳht hoñ
falak pe mehr-e-nīm-roz jagmagā.e shaan se
zamīñ pe kuchh na ho magar baḌe baḌe daraḳht hoñ
shafaq nahā.e sub.h-o-shām niile ābshār meñ
pahāḌ par chinār aur chiiḌ ke daraḳht hoñ
muqābla ho dopahar meñ garmiyoñ kī dhuup se
hamāre ghar ke sahn meñ ghane ghane daraḳht hoñ
qatar mein uge hue hare-bhare daraKHt hon
tera guzar jahan se ho dhule dhule daraKHt hon
KHizan ka rang mushkbu faza mein kyon bikhar gaya
main chahta hun shahr mein khule khule daraKHt hon
hazar zaiqon ke git gungunaen bagh mein
tere jamal se lade hue mere daraKHt hon
falak pe mehr-e-nim-roz jagmagae shan se
zamin pe kuchh na ho magar baDe baDe daraKHt hon
shafaq nahae subh-o-sham nile aabshaar mein
pahaD par chinar aur chiD ke daraKHt hon
muqabla ho dopahar mein garmiyon ki dhup se
hamare ghar ke sahn mein ghane ghane daraKHt hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.