Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qatl amir-e-shahr ka laDla beTa kar gaya

Mirza Shariq Laharpuri

qatl amir-e-shahr ka laDla beTa kar gaya

Mirza Shariq Laharpuri

MORE BYMirza Shariq Laharpuri

    qatl amīr-e-shahr lāDlā beTā kar gayā

    jurm magar ġharīb ke laḳht-e-jigar ke sar gayā

    sub.h se shaam ho ga.ī vaqt dhūp-chhāñv meñ

    lamha-ba-lamha 'umr saarā safar guzar gayā

    kaisā vo hogā sang-e-ġham sahm ke jis ke ḳhauf se

    aa.inā chhuT ke farsh par chāroñ taraf bikhar gayā

    laakh ġharīb huuñ magar phir bhī huuñ ek aadmī

    kaise mire zamīr aaj vo mol kar gayā

    amn-o-sukūñ ke gaañv meñ mast-magan thā maiñ magar

    kaun mirī hayāt ko ḳhāna-ba-dosh kar gayā

    aap qadr-o-manzilat dekh shab-e-urūj meñ

    vaqt bhī ehtirām meñ chal na sakā Thahar gayā

    merī ridā fikr kyā tan qabā fikr kyā

    aaj tumhāre shahr se 'shāriq'-e-dīda-var gayā

    qatl amir-e-shahr ka laDla beTa kar gaya

    jurm magar gharib ke laKHt-e-jigar ke sar gaya

    subh se sham ho gai waqt ki dhup-chhanw mein

    lamha-ba-lamha 'umr ka sara safar guzar gaya

    kaisa wo hoga sang-e-gham sahm ke jis ke KHauf se

    aaina chhuT ke farsh par chaaron taraf bikhar gaya

    lakh gharib hun magar phir bhi hun ek aadmi

    kaise mere zamir ka aaj wo mol kar gaya

    amn-o-sukun ke ganw mein mast-magan tha main magar

    kaun meri hayat ko KHana-ba-dosh kar gaya

    aap ki qadr-o-manzilat dekh shab-e-uruj mein

    waqt bhi ehtiram mein chal na saka Thahar gaya

    meri rida ki fikr kya tan ki qaba ki fikr kya

    aaj tumhaare shahr se 'shaariq'-e-dida-war gaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now