qatl-gahon ke ye manzar nahin dekhe jate
qatl-gāhoñ ke ye manzar nahīñ dekhe jaate
nanhe bachchoñ ke kaTe sar nahīñ dekhe jaate
jin ke lafzoñ se vafāoñ kī mahak aatī thī
ab vo aḳhlāq ke paikar nahīñ dekhe jaate
jo mire ḳhauf se nazroñ ko jhukā lete the
aaj un logoñ ke tevar nahīñ dekhe jaate
sinf-e-nāzuk kī taraf-dār mirī ġhairat se
phuul se hāthoñ meñ ḳhanjar nahīñ dekhe jaate
zauq paidā ho to kaise ho masīhā.ī kā
ab zamāne meñ payambar nahīñ dekhe jaate
maġhribī tarz kī āñdhī ne uḌāyā sab kuchh
ab dupaTTe bhī saroñ par nahīñ dekhe jaate
qatl-gahon ke ye manzar nahin dekhe jate
nanhe bachchon ke kaTe sar nahin dekhe jate
jin ke lafzon se wafaon ki mahak aati thi
ab wo aKHlaq ke paikar nahin dekhe jate
jo mere KHauf se nazron ko jhuka lete the
aaj un logon ke tewar nahin dekhe jate
sinf-e-nazuk ki taraf-dar meri ghairat se
phul se hathon mein KHanjar nahin dekhe jate
zauq paida ho to kaise ho masihai ka
ab zamane mein payambar nahin dekhe jate
maghribi tarz ki aandhi ne uDaya sab kuchh
ab dupaTTe bhi saron par nahin dekhe jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.