qatl-gah mein jab kisi saffak ka KHanjar uTha
qatl-gah mein jab kisi saffak ka KHanjar uTha
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
qatl-gah meñ jab kisī saffāk kā ḳhanjar uThā
vāste ta.azīm ke tan se hamārā sar uThā
jab kabhī pahlū se mujh mahzūñ ke vo dilbar uThā
dard siine meñ jigar meñ dil meñ rah-rah kar uThā
garm-joshī se raqīboñ kī huā aisā malāl
terī mahfil se misāl-e-sham.a maiñ ro kar uThā
ḳhaak bhī jamne nahīñ detī hai āshiq ke qadam
vo parī kahtī hai saaye se mire bistar uThā
chāhtā hai tū agar tāj-e-sar-afrāzī-e-dahr
chaar din ke vāste mun.im na bār-e-zar uThā
qatl-gah mein jab kisi saffak ka KHanjar uTha
waste tazim ke tan se hamara sar uTha
jab kabhi pahlu se mujh mahzun ke wo dilbar uTha
dard sine mein jigar mein dil mein rah-rah kar uTha
garm-joshi se raqibon ki hua aisa malal
teri mahfil se misal-e-shama main ro kar uTha
KHak bhi jamne nahin deti hai aashiq ke qadam
wo pari kahti hai saye se mere bistar uTha
chahta hai tu agar taj-e-sar-afraazi-e-dahr
chaar din ke waste munim na bar-e-zar uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.