qatl hone KHud hi qatil ke makan tak aa gae
qatl hone ḳhud hī qātil ke makāñ tak aa ga.e
zindagī kī justujū meñ ham kahāñ tak aa ga.e
maiñ ne kuchh māñgā nahīñ tere sivā allāh se
ik du'ā ke badle sātoñ āsmāñ tak aa ga.e
ham zabāñ rakhte hue bhī be-zabāñ haiñ shahr meñ
kapkapāte lafz gūñgī dāstāñ tak aa ga.e
muskurātī chāñdnī kā jism niilā ho gayā
dhuup ke zahrīle paañv sā.ebāñ tak aa ga.e
kam se kam dastār to rahne de sar par muflisī
ghar ke saare raaz bachchoñ kī zabāñ tak aa ga.e
ab buzurgoñ kī nasīhat yaad aatī hai hameñ
phuul chunte chunte shahr-e-saḳht-jāñ tak aa ga.e
muskurātī bhuuk aur aañsū bharī āñkheñ liye
lauT kar mazdūr maġhrib kī azaañ tak aa ga.e
mere hāthoñ meñ abhī tak dostī kā lams hai
dostoñ ke haath meñ tīr-o-kamāñ tak aa ga.e
qatl hone KHud hi qatil ke makan tak aa gae
zindagi ki justuju mein hum kahan tak aa gae
main ne kuchh manga nahin tere siwa allah se
ek du'a ke badle saton aasman tak aa gae
hum zaban rakhte hue bhi be-zaban hain shahr mein
kapkapate lafz gungi dastan tak aa gae
muskuraati chandni ka jism nila ho gaya
dhup ke zahrile panw saeban tak aa gae
kam se kam dastar to rahne de sar par muflisi
ghar ke sare raaz bachchon ki zaban tak aa gae
ab buzurgon ki nasihat yaad aati hai hamein
phul chunte chunte shahr-e-saKHt-jaan tak aa gae
muskuraati bhuk aur aansu bhari aankhen liye
lauT kar mazdur maghrib ki azan tak aa gae
mere hathon mein abhi tak dosti ka lams hai
doston ke hath mein tir-o-kaman tak aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.