qatra-e-ashk hun palkon pe saja le mujhko
qatra-e-ashk huuñ palkoñ pe sajā le mujh ko
ho jo mumkin to in āñkhoñ meñ chhupā le mujh ko
maiñ to saḌkoñ pe phirā kartā huuñ pāgal kī tarah
kaun kahtā hai ki siine se lagā le mujh ko
maiñ vo daana huuñ har ik dil ko harā kar dūñgā
ho sake to kisī banjar meñ ugā le mujh ko
jaane kab tak maiñ phirūñgā yūñhī sahrā sahrā
ab mire jism kā saaya hī sañbhāle mujh ko
chāñd bādal meñ jo chhup jaa.e añdherā ho jaa.e
ġham kī is raat meñ de kaun ujāle mujh ko
maiñ to phūTī huī taqdīr kā ā.īna huuñ
tū kisī raah kā patthar hī banā le mujh ko
kis ko samjhā.ūñ mohabbat kī haqīqat 'afsar'
log milte haiñ zamāne meñ nirāle mujh ko
qatra-e-ashk hun palkon pe saja le mujh ko
ho jo mumkin to in aankhon mein chhupa le mujh ko
main to saDkon pe phira karta hun pagal ki tarah
kaun kahta hai ki sine se laga le mujh ko
main wo dana hun har ek dil ko hara kar dunga
ho sake to kisi banjar mein uga le mujh ko
jaane kab tak main phirunga yunhi sahra sahra
ab mere jism ka saya hi sanbhaale mujh ko
chand baadal mein jo chhup jae andhera ho jae
gham ki is raat mein de kaun ujale mujh ko
main to phuTi hui taqdir ka aaina hun
tu kisi rah ka patthar hi bana le mujh ko
kis ko samjhaun mohabbat ki haqiqat 'afsar'
log milte hain zamane mein nirale mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.