qatra-e-ashk ka mizhgan pe mere ye aalam
qatra-e-ashk kā mizhgāñ pe mire ye aalam
sub.h-dam ghaas kī pattī pe ho jaise shabnam
hasrateñ dil kī nikal jātīñ zarā to ai kaash
ek hī raat ko mil baiThte ham tum bāham
sar meñ insān kī mansūbe bhare the kyā kyā
haa.e par maut ne sab kar diye darham-barham
be-niyāzī ne kiyā ḳhuun tamannā kā mirī
siina meñ dil ke taḌapne se hai barpā mātam
sar se jaate rahe ik umr ke shikve 'hasrat'
mil ke jab baiTh ga.e do ghaḌī ham vo bāham
qatra-e-ashk ka mizhgan pe mere ye aalam
subh-dam ghas ki patti pe ho jaise shabnam
hasraten dil ki nikal jatin zara to ai kash
ek hi raat ko mil baiThte hum tum baham
sar mein insan ki mansube bhare the kya kya
hae par maut ne sab kar diye darham-barham
be-niyazi ne kiya KHun tamanna ka meri
sina mein dil ke taDapne se hai barpa matam
sar se jate rahe ek umr ke shikwe 'hasrat'
mil ke jab baiTh gae do ghaDi hum wo baham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.