qatra hun main wusat de dariya kar de
qatra huuñ maiñ vus.at de dariyā kar de
tū chāhe to sāgar ko sahrā kar de
talḳhī kā ehsās miTā de duniyā se
yā-rab tū har peḌ kā phal mīThā kar de
ye ḳhvāhish to sadiyoñ se hai nasloñ kī
ḳhud zāhir ho yā mujh ko ifshā kar de
zard chaTāneñ kaaT rahā huuñ sahrā meñ
gard kī chādar phailā kar saaya kar de
laaj bachā le merī kaj-dastārī kī
baunoñ kī bastī meñ qad ūñchā kar de
zanjīroñ par itnā bharosā mat karnā
josh-e-junūñ meñ vahshī jaane kyā kar de
insāñ ḳhud hai ḳhāliq apnī zarūrat kā
chalte chalte pagDanDī paidā kar de
abr bane to khārī paanī mīThā ho
terī mashiyyat jab chāhe jaisā kar de
merī mohabbat zāmin hai shādābī kī
terī chāhat pattoñ ko piilā kar de
rone vaalo ye bhī to ho saktā hai
ḳhuun kā chhīñTā qātil ko rusvā kar de
itnī duurī 'ramz' hai kyuuñ ghar vāloñ meñ
nafrat kī dīvār girā rasta kar de
qatra hun main wusat de dariya kar de
tu chahe to sagar ko sahra kar de
talKHi ka ehsas miTa de duniya se
ya-rab tu har peD ka phal miTha kar de
ye KHwahish to sadiyon se hai naslon ki
KHud zahir ho ya mujh ko ifsha kar de
zard chaTanen kaT raha hun sahra mein
gard ki chadar phaila kar saya kar de
laj bacha le meri kaj-dastari ki
baunon ki basti mein qad uncha kar de
zanjiron par itna bharosa mat karna
josh-e-junun mein wahshi jaane kya kar de
insan KHud hai KHaliq apni zarurat ka
chalte chalte pagDanDi paida kar de
abr bane to khaari pani miTha ho
teri mashiyyat jab chahe jaisa kar de
meri mohabbat zamin hai shadabi ki
teri chahat patton ko pila kar de
rone walo ye bhi to ho sakta hai
KHun ka chhinTa qatil ko ruswa kar de
itni duri 'ramz' hai kyun ghar walon mein
nafrat ki diwar gira rasta kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.