qatra qatra KHun ka sharh-e-wafa banta gaya
qatra qatra ḳhuun kā sharh-e-vafā bantā gayā
zindagī kā nuqta nuqta dā.era bantā gayā
sadqe jā.ūñ āb-o-gil kī infirādī shaan par
chehra chehra TuuT kar ik ā.īna bantā gayā
vaqt ke hamrāh jitnī dūriyāñ baḌhtī ga.iiñ
lamha lamha qurbatoñ kā silsila bantā gayā
āfrīnash se rahā parcham baġhāvat kā buland
aur nizām-e-zindagī kā zābta bantā gayā
aql kī parvarda rāheñ thī zamīn-e-sañglāḳh
jab junūñ had se baḌhtā to rāsta bantā gayā
qatra qatra KHun ka sharh-e-wafa banta gaya
zindagi ka nuqta nuqta daera banta gaya
sadqe jaun aab-o-gil ki infiradi shan par
chehra chehra TuT kar ek aaina banta gaya
waqt ke hamrah jitni duriyan baDhti gain
lamha lamha qurbaton ka silsila banta gaya
aafrinash se raha parcham baghawat ka buland
aur nizam-e-zindagi ka zabta banta gaya
aql ki parwarda rahen thi zamin-e-sanglaKH
jab junun had se baDhta to rasta banta gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.