qatre mein dariya zarre mein sahra dikhai de
qatre meñ dariyā zarre meñ sahrā dikhā.ī de
vā dil kī aañkh ho to tamāshā dikhā.ī de
terī nazīr husn-o-adā meñ koī nahīñ
mujh ko batā de koī jo tujh sā dikhā.ī de
apnī burā.iyoñ pe agar jā.egī nazar
duniyā meñ har koī hameñ achchhā dikhā.ī de
chhānī hai is liye rah-e-dair-o-haram kī ḳhaak
shāyad tumhārā naqsh-e-kaf-e-pā dikhā.ī de
apnī hayāt-e-ishq pe Dāleñ agar nazar
nā-ḳhush-gavāriyoñ kā pulanda dikhā.ī de
gul kī adā chaman meñ 'jamālī' hai dil-pazīr
siina ho ġham se chaak to hañstā dikhā.ī de
qatre mein dariya zarre mein sahra dikhai de
wa dil ki aankh ho to tamasha dikhai de
teri nazir husn-o-ada mein koi nahin
mujh ko bata de koi jo tujh sa dikhai de
apni buraiyon pe agar jaegi nazar
duniya mein har koi hamein achchha dikhai de
chhani hai is liye rah-e-dair-o-haram ki KHak
shayad tumhaara naqsh-e-kaf-e-pa dikhai de
apni hayat-e-ishq pe Dalen agar nazar
na-KHush-gawariyon ka pulanda dikhai de
gul ki ada chaman mein 'jamali' hai dil-pazir
sina ho gham se chaak to hansta dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.