qaus-e-quzah se Tut ke har rang bah gaya
qaus-e-quzah se Tuut ke har rang bah gayā
ye zulm bhī to āsmāñ chup-chāp sah gayā
har dard be-kasak hai har ik ġham hai ajnabī
yaaro hamārā shahr meñ ab kaun rah gayā
har phuul aag pheñk rahā hai mirī taraf
bhūle se aaj maiñ koī haq baat kah gayā
tanhā.iyoñ ne pyaar se phailā diye haiñ haath
har lamha-e-firāq dhuāñ ban ke rah gayā
'iqbāl' fikr-e-nau ke samandar ke sāmne
tinke kī tarh qasr-e-rivāyāt bah gayā
qaus-e-quzah se Tut ke har rang bah gaya
ye zulm bhi to aasman chup-chap sah gaya
har dard be-kasak hai har ek gham hai ajnabi
yaro hamara shahr mein ab kaun rah gaya
har phul aag phenk raha hai meri taraf
bhule se aaj main koi haq baat kah gaya
tanhaiyon ne pyar se phaila diye hain hath
har lamha-e-firaq dhuan ban ke rah gaya
'iqbaal' fikr-e-nau ke samandar ke samne
tinke ki tarh qasr-e-riwayat bah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.