Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qawi dil shadman dil parsa dil

Hasrat Mohani

qawi dil shadman dil parsa dil

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    qavī dil shādmāñ dil pārsā dil

    tire āshiq ne bhī paayā hai kyā dil

    lagā do aag uzr-e-maslahat ko

    ki hai be-zār is shai se mirā dil

    jafākārī hai taslīm-e-sitam bhī

    na hogā tāba-e-jaur-o-jafā dil

    lagā kar aañkh is jān-e-jahāñ se

    na hogā ab kisī se āshnā dil

    miTe afkār-e-gonā-goñ ke jhagḌe

    tire ġham ko na de kyūñkar duā dil

    na pahuñchegī kabhī kyā gosh-e-gul tak

    qafas se uḌ ke fariyād-e-anā dil

    anā-e-sadāqat hai to hargiz

    na hogā pairav-e-bātil mirā dil

    baḌī dargāh saa.il huuñ 'hasrat'

    baḌī ummīd hai merī baḌā dil

    qawi dil shadman dil parsa dil

    tere aashiq ne bhi paya hai kya dil

    laga do aag uzr-e-maslahat ko

    ki hai be-zar is shai se mera dil

    jafakari hai taslim-e-sitam bhi

    na hoga taba-e-jaur-o-jafa dil

    laga kar aankh is jaan-e-jahan se

    na hoga ab kisi se aashna dil

    miTe afkar-e-gona-gon ke jhagDe

    tere gham ko na de kyunkar dua dil

    na pahunchegi kabhi kya gosh-e-gul tak

    qafas se uD ke fariyaad-e-ana dil

    tu ana-e-sadaqat hai to hargiz

    na hoga pairaw-e-baatil mera dil

    baDi dargah ka sail hun 'hasrat'

    baDi ummid hai meri baDa dil

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now