qayam mein bhi kisi rah par rawana tha
qayām meñ bhī kisī raah par ravāna thā
mirā mizāj azal se musāfirāna thā
paḌā thā us ke bhī ruḳh par naqāb-e-nā-maujūd
mirī bhī aañkh pe ik dast-e-ġhā.ebāna thā
ham apnī ruuh tire jism hī meñ chhoḌ aa.e
tujhe gale se lagānā to ik bahāna thā
tire husūl kī baazī bhī kitnī mushkil thī
idhar maiñ yakka-o-tanhā udhar zamāna thā
maiñ us ko dekhtā rahtā thā us kī āñkhoñ se
ḳhayāl-o-ḳhvāb kā mausam baḌā suhānā thā
qayam mein bhi kisi rah par rawana tha
mera mizaj azal se musafirana tha
paDa tha us ke bhi ruKH par naqab-e-na-maujud
meri bhi aankh pe ek dast-e-ghaebana tha
hum apni ruh tere jism hi mein chhoD aae
tujhe gale se lagana to ek bahana tha
tere husul ki bazi bhi kitni mushkil thi
idhar main yakka-o-tanha udhar zamana tha
main us ko dekhta rahta tha us ki aankhon se
KHayal-o-KHwab ka mausam baDa suhana tha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 661)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.