qayam-o-naql ajaib ke tarjuman to nahin
qayām-o-naql ajā.ib ke tarjumāñ to nahīñ
amal har ek musalsal hai nā-gahāñ to nahīñ
ye markaze kī harārat kashish kā baa.is hai
jo ho vo sard to phir ye zamīñ bhī maañ to nahīñ
muhīt chāroñ-taraf se hai ik ḳhalā-e-basīt
zamīñ ye apnī faqat zer-e-āsmāñ to nahīñ
havā uḌaa.e unheñ aur kahīñ bhī le jaa.e
ye Tiile ret ke pakkī nishāniyāñ to nahīñ
havā ke paas amānat haiñ sab sadā-o-aks
abhī giraft se bāhar haiñ par nihāñ to nahīñ
qayam-o-naql ajaib ke tarjuman to nahin
amal har ek musalsal hai na-gahan to nahin
ye markaze ki hararat kashish ka bais hai
jo ho wo sard to phir ye zamin bhi man to nahin
muhit chaaron-taraf se hai ek KHala-e-basit
zamin ye apni faqat zer-e-asman to nahin
hawa uDae unhen aur kahin bhi le jae
ye Tile ret ke pakki nishaniyan to nahin
hawa ke pas amanat hain sab sada-o-aks
abhi giraft se bahar hain par nihan to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.