qayamat-KHez manzar mangta hai
qayāmat-ḳhez manzar māñgtā hai
koī pyāsā samundar māñgtā hai
kahāñ la.al-o-javāhar māñgtā hai
jo apnā dil munavvar māñgtā hai
jo rakhtā hai shu.ūr-e-zindagānī
vo apnā haq barābar māñgtā hai
jise maazī ne baḳhshī ho murā.at
vo mustaqbil munavvar māñgtā hai
burā bhī chāhtā hai merā logo
duā.eñ bhī vo aksar māñgtā hai
election meñ ye fashion ho gayā hai
ġharīboñ se tavangar māñgtā hai
jo apne aap se rahtā hai tishna
vahī 'mahmūd' aksar māñgtā hai
qayamat-KHez manzar mangta hai
koi pyasa samundar mangta hai
kahan lal-o-jawahar mangta hai
jo apna dil munawwar mangta hai
jo rakhta hai shuur-e-zindagani
wo apna haq barabar mangta hai
jise mazi ne baKHshi ho muraat
wo mustaqbil munawwar mangta hai
bura bhi chahta hai mera logo
duaen bhi wo aksar mangta hai
election mein ye fashion ho gaya hai
gharibon se tawangar mangta hai
jo apne aap se rahta hai tishna
wahi 'mahmud' aksar mangta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.