qayamat ki taDap gham intiha ka
qayāmat kī taḌap ġham intihā kā
sila ham ko milā hai ye vafā kā
bharam TuuTā nahīñ merī anā kā
abhī tak fazl hai azhar ḳhudā kā
hameñ phir ḳhauf kyā roz-e-jazā kā
vasīla hai mohammad mustafā kā
sañbhal kar kījiyegā guftugū bhī
muḳhālif āj-kal hai ruḳh havā kā
maza aane lagā hai dard dil meñ
asar shāyad hai ye merī duā kā
koī ḳhā.if na us ko kar sakegā
jo dāman thaam le mushkil-kushā kā
jahāñ sach bolnā hai jurm 'az.har'
vahāñ kyā kaam hai ahl-e-safā kā
qayamat ki taDap gham intiha ka
sila hum ko mila hai ye wafa ka
bharam TuTa nahin meri ana ka
abhi tak fazl hai azhar KHuda ka
hamein phir KHauf kya roz-e-jaza ka
wasila hai mohammad mustafa ka
sanbhal kar kijiyega guftugu bhi
muKHalif aaj-kal hai ruKH hawa ka
maza aane laga hai dard dil mein
asar shayad hai ye meri dua ka
koi KHaif na us ko kar sakega
jo daman tham le mushkil-kusha ka
jahan sach bolna hai jurm 'azhar'
wahan kya kaam hai ahl-e-safa ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.