qayamat se qayamat se guzare ja rahe the
qayāmat se qayāmat se guzāre jā rahe the
ye kin hāthoñ hazāroñ log maare jā rahe the
sunahrī jal-parī dekhī to phir paanī meñ kuude
vagarna ham to dariyā ke kināre jā rahe the
samundar ek qatre meñ sameTā jā rahā thā
shutur suuī ke naake se guzāre jā rahe the
chaman-zāroñ meñ ḳhema-zan the sahrāoñ ke baasī
hare manzar nigāhoñ meñ utāre jā rahe the
sabhī tālāb phūloñ aur kirnoñ se bharā thā
badan ḳhush-rañg paanī se nikhāre jā rahe the
qayamat se qayamat se guzare ja rahe the
ye kin hathon hazaron log mare ja rahe the
sunahri jal-pari dekhi to phir pani mein kude
wagarna hum to dariya ke kinare ja rahe the
samundar ek qatre mein sameTa ja raha tha
shutur sui ke nake se guzare ja rahe the
chaman-zaron mein KHema-zan the sahraon ke basi
hare manzar nigahon mein utare ja rahe the
sabhi talab phulon aur kirnon se bhara tha
badan KHush-rang pani se nikhaare ja rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.