qayas ban-bas ko muani de
qayās ban-bās ko muānī de
de mujhe phir koī kahānī de
baḳhsh jazboñ ko dā.imī shobhā
sher ko umr-e-jāvedānī de
karbalā! merī jadd pe guzrī kiyā
hāl-ahvāl kuchh zabānī de
ḳhātam-e-zar ki āñsuoñ ke guhar
jo bhī detā hai tū nishānī de
Daal gandum pe kesarī chundrī
dhaan ke sar pe shaal dhānī de
koī ejāz-e-mahramāna phir
koī āvāz to purānī de
mantaqe sab zamīñ ke kar zarḳhez
rañg dhartī ko āsmānī de
kaun paidā ho yā-alī tujh sā
apne qātil ko kaun paanī de
ik na ik din to priytmā se milā
ik na ik raat to suhānī de
haath ko hirs kī havā se bachā
aañkh ko dil kī tarjumānī de
raaja chaupaT andher-nagrī kā
is kahānī ko mat ravānī de
qayas ban-bas ko muani de
de mujhe phir koi kahani de
baKHsh jazbon ko daimi shobha
sher ko umr-e-jawedani de
karbala! meri jadd pe guzri kiya
haal-ahwal kuchh zabani de
KHatam-e-zar ki aansuon ke guhar
jo bhi deta hai tu nishani de
Dal gandum pe kesari chundri
dhan ke sar pe shaal dhani de
koi ejaz-e-mahramana phir
koi aawaz to purani de
mantaqe sab zamin ke kar zarKHez
rang dharti ko aasmani de
kaun paida ho ya-ali tujh sa
apne qatil ko kaun pani de
ek na ek din to priytma se mila
ek na ek raat to suhani de
hath ko hirs ki hawa se bacha
aankh ko dil ki tarjumani de
raja chaupaT andher-nagri ka
is kahani ko mat rawani de
- Book : Ban Baas (Pg. 113)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.