qaza hai zindagi lagne laga tha
qazā hai zindagī lagne lagā thā
mujhe jab alvidā.a us ne kahā thā
bahut royā vo dīvāroñ se lag kar
makāñ meñ aur us ke kyā bachā thā
maiñ apne paas hī baiThī thī din bhar
kisī kā saath dūbhar ho rahā thā
ye qismat hai ki murjhā.ī nahīñ maiñ
zamīñ ko jab mirī badlā gayā thā
jo tum the saath to har sū thī ḳhushbū
havāoñ meñ na jaane kyā ghulā thā
thī itnī bekalī manzil kī mujh ko
ki mere saath rasta chal paḌā thā
qaza hai zindagi lagne laga tha
mujhe jab alwidaa us ne kaha tha
bahut roya wo diwaron se lag kar
makan mein aur us ke kya bacha tha
main apne pas hi baiThi thi din bhar
kisi ka sath dubhar ho raha tha
ye qismat hai ki murjhai nahin main
zamin ko jab meri badla gaya tha
jo tum the sath to har su thi KHushbu
hawaon mein na jaane kya ghula tha
thi itni bekali manzil ki mujh ko
ki mere sath rasta chal paDa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.