qaza ke sath chale zindagi ke badle mein
qazā ke saath chale zindagī ke badle meñ
milī na chhāñv bhī ahal-e-amal ko raste meñ
javāb-e-shahr-e-ḳhamoshāñ har ek bastī hai
gulāb khilte nahīñ ab kisī darīche meñ
ġham-e-hayāt kī paiġhambarāna ulfat ko
na jaane kab se basā.e hue haiñ siine meñ
pahuñch chuke haiñ yaqīñ kī hudūd meñ phir bhī
laraz rahe haiñ qadam saath saath chalne meñ
shu.ūr-e-zīst kī alhaḌ kiran nazar aa.ī
hayāt-e-nau ke simaTte hue dhundalke meñ
tumhāre qurb kī vo sā.at-e-hasīñ ab bhī
ravāñ hai saath mire yaad ke safīne meñ
har ek saañs sū-e-kahkashāñ baḌhī lekin
qadam bhaTakte rahe umr bhar añdhere meñ
nikal ke mahbas-e-shab-rañg se junūñ vaale
asiir hote rahe asr-e-nau ke dhoke meñ
kare jo azm-e-safar us ko ye ḳhabar kar do
ki ik paḌāv haiñ ham is tavīl mele meñ
bahā jo sub.h-e-bahārāñ kī justujū meñ 'umīd'
usī lahū kā hai partav har ik shagūfe meñ
qaza ke sath chale zindagi ke badle mein
mili na chhanw bhi ahal-e-amal ko raste mein
jawab-e-shahr-e-KHamoshan har ek basti hai
gulab khilte nahin ab kisi dariche mein
gham-e-hayat ki paighambarana ulfat ko
na jaane kab se basae hue hain sine mein
pahunch chuke hain yaqin ki hudud mein phir bhi
laraz rahe hain qadam sath sath chalne mein
shuur-e-zist ki alhaD kiran nazar aai
hayat-e-nau ke simaTte hue dhundalke mein
tumhaare qurb ki wo saat-e-hasin ab bhi
rawan hai sath mere yaad ke safine mein
har ek sans su-e-kahkashan baDhi lekin
qadam bhaTakte rahe umr bhar andhere mein
nikal ke mahbas-e-shab-rang se junun wale
asir hote rahe asr-e-nau ke dhoke mein
kare jo azm-e-safar us ko ye KHabar kar do
ki ek paDaw hain hum is tawil mele mein
baha jo subh-e-bahaaran ki justuju mein 'umid'
usi lahu ka hai partaw har ek shagufe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.