qimti moti luTana chhoD de
qīmtī motī luTānā chhoḌ de
ashk āñkhoñ se bahānā chhoḌ de
har taraf sayyād hai is ḳhauf se
kyā parinda āb-o-dāna chhoḌ de
dhuup ko himmat se de apnī javāb
justujū-e-shāmiyāna chhoḌ de
ab to apnī yaad ko samjhā.iye
mere dil meñ ānā-jānā chhoḌ de
yā to kar puurī tarah mujh ko qubūl
yā mujhe pāgal banānā chhoḌ de
dost 'sonam' itnī bhī ahmaq nahīñ
saañp ke Dar se ḳhazānā chhoḌ de
qimti moti luTana chhoD de
ashk aankhon se bahana chhoD de
har taraf sayyaad hai is KHauf se
kya parinda aab-o-dana chhoD de
dhup ko himmat se de apni jawab
justuju-e-shamiyana chhoD de
ab to apni yaad ko samjhaiye
mere dil mein aana-jaana chhoD de
ya to kar puri tarah mujh ko qubul
ya mujhe pagal banana chhoD de
dost 'sonam' itni bhi ahmaq nahin
sanp ke Dar se KHazana chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.