qile barbaad karta aur patthar chhoD jata hai
qile barbād kartā aur patthar chhoḌ jaatā hai
jahāñ jaatā hai ḳhuuñ kā ik samundar chhoḌ jaatā hai
mohabbat terī guzre hai mere dil se mire qātil
ki jaise luuT kar shahroñ ko lashkar chhoḌ jaatā hai
tirī yādoñ ko maiñ le kar kahīñ bhī saath jaatā huuñ
ki kaasa apnā kab darvesh ghar par chhoḌ jaatā hai
ye mere ishq kī daulat hai ūñchī qasr-e-sultāñ se
jo apnī saarī daulat ko yahīñ par chhoḌ jaatā hai
qile barbaad karta aur patthar chhoD jata hai
jahan jata hai KHun ka ek samundar chhoD jata hai
mohabbat teri guzre hai mere dil se mere qatil
ki jaise luT kar shahron ko lashkar chhoD jata hai
teri yaadon ko main le kar kahin bhi sath jata hun
ki kasa apna kab darwesh ghar par chhoD jata hai
ye mere ishq ki daulat hai unchi qasr-e-sultan se
jo apni sari daulat ko yahin par chhoD jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.