qismat asir-e-zulf-e-girah-gir ho gai
qismat asīr-e-zulf-e-girah-gīr ho ga.ī
zulmat meñ ghir ke mehvar-e-tanvīr ho ga.ī
manzar thā dil-fareb lab-e-jū kā shaam ko
phir kyoñ janāb aane meñ tāḳhīr ho ga.ī
mahke gulāb chhā.ī ghaTā chhiTkī chāñdnī
kaisī jamāl-e-yār kī tafsīr ho ga.ī
us kā ajab mizāj hai chhoTī sī baat par
abrū bane kamān nazar tiir ho ga.ī
'anjum' ḳhudā ke fazl se mujh kam-savād kī
arbāb-e-ilm-o-fazl meñ tash.hīr ho ga.ī
qismat asir-e-zulf-e-girah-gir ho gai
zulmat mein ghir ke mehwar-e-tanwir ho gai
manzar tha dil-fareb lab-e-ju ka sham ko
phir kyon janab aane mein taKHir ho gai
mahke gulab chhai ghaTa chhiTki chandni
kaisi jamal-e-yar ki tafsir ho gai
us ka ajab mizaj hai chhoTi si baat par
abru bane kaman nazar tir ho gai
'anjum' KHuda ke fazl se mujh kam-sawad ki
arbab-e-ilm-o-fazl mein tashhir ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.