qismat-e-chashm-e-tar baDhana hai
qismat-e-chashm-e-tar baḌhānā hai
āñsuoñ ko guhar banānā hai
ye zamāna 'ajab zamānā hai
har haqīqat yahāñ fasāna hai
bhaḌke jazbāt ko dabānā hai
paanī is aag ko banānā hai
hañs ke bār-e-alam uThānā hai
maut ko zindagī banānā hai
ham to sail-e-balā kī nazr hue
dūsroñ ko magar bachānā hai
ham nahīñ dekhte havā kā ruḳh
kaam apnā diyā jalānā hai
merā hī ham-navā nahīñ koī
aap ke saath to zamāna hai
imtihāñ le chuke zamāne kā
ab hameñ ḳhud ko āzmānā hai
qismat-e-chashm-e-tar baDhana hai
aansuon ko guhar banana hai
ye zamana 'ajab zamana hai
har haqiqat yahan fasana hai
bhaDke jazbaat ko dabana hai
pani is aag ko banana hai
hans ke bar-e-alam uThana hai
maut ko zindagi banana hai
hum to sail-e-bala ki nazr hue
dusron ko magar bachana hai
hum nahin dekhte hawa ka ruKH
kaam apna diya jalana hai
mera hi ham-nawa nahin koi
aap ke sath to zamana hai
imtihan le chuke zamane ka
ab hamein KHud ko aazmana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.