qismat-e-shauq aazma na sake
qismat-e-shauq aazmā na sake
un se ham aañkh bhī milā na sake
ham se yaañ ranj-e-hijr uTh na sakā
vaañ vo majbūr the vo aa na sake
Dar ye thā ro na deñ kahīñ vo unheñ
ham hañsī meñ bhī gudgudā na sake
ham se dil aap ne uThā to liyā
par kahīñ aur bhī lagā na sake
ab kahāñ tum kahāñ vo rabt-e-vafā
yaad bhī jis kī ham dilā na sake
dil meñ kyā kyā the 'arz-e-hāl ke shauq
us ne pūchhā to kuchh batā na sake
ham to kyā bhūlte unheñ 'hasrat'
dil se vo bhī hameñ bhulā na sake
qismat-e-shauq aazma na sake
un se hum aankh bhi mila na sake
hum se yan ranj-e-hijr uTh na saka
wan wo majbur the wo aa na sake
Dar ye tha ro na den kahin wo unhen
hum hansi mein bhi gudguda na sake
hum se dil aap ne uTha to liya
par kahin aur bhi laga na sake
ab kahan tum kahan wo rabt-e-wafa
yaad bhi jis ki hum dila na sake
dil mein kya kya the 'arz-e-haal ke shauq
us ne puchha to kuchh bata na sake
hum to kya bhulte unhen 'hasrat'
dil se wo bhi hamein bhula na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.