qismat ka ban gai hai sitara tumhaari yaad
qismat kā ban ga.ī hai sitāra tumhārī yaad
detī hai zindagī ko sahārā tumhārī yaad
dukh-dard saarī duniyā ke aa.eñ jo sāmne
in sab kā hai bas ek hī chāra tumhārī yaad
kartā rahūñ maiñ yaad tumhī ko tamām umr
detī hai ek ye bhī ishāra tumhārī yaad
kashtī mirī hai paanī pe yuuñ to ravāñ-davāñ
rahtī hai mauj ban ke kināra tumhārī yaad
rahtī haiñ talḳhiyāñ bhī mirī zindagī ke saath
in ko banā rahī hai gavāra tumhārī yaad
dil meñ kamar ke rahtī hai har lamha har ghaḌī
kartī nahīñ hai dil se kināra tumhārī yaad
qismat ka ban gai hai sitara tumhaari yaad
deti hai zindagi ko sahaara tumhaari yaad
dukh-dard sari duniya ke aaen jo samne
in sab ka hai bas ek hi chaara tumhaari yaad
karta rahun main yaad tumhi ko tamam umr
deti hai ek ye bhi ishaara tumhaari yaad
kashti meri hai pani pe yun to rawan-dawan
rahti hai mauj ban ke kinara tumhaari yaad
rahti hain talKHiyan bhi meri zindagi ke sath
in ko bana rahi hai gawara tumhaari yaad
dil mein kamar ke rahti hai har lamha har ghaDi
karti nahin hai dil se kinara tumhaari yaad
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 603)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.