qismat ka her-pher kuchh aisa bura na ho
qismat kā her-pher kuchh aisā burā na ho
ghar meñ bas ek peḌ ho vo bhī harā na ho
tujh ko ho mere lams kī ḳhvāhish shadīd-tar
tujh se tamām 'umr mirā sāmnā na ho
daulat ho aur koī bhī masraf na mil sake
yā'nī ki husn ho pa koī dekhtā na ho
muddat ke baa'd shahr-e-udāsī meñ aaj phir
pāzeb kī jhanak hai koī sāniha na ho
kuchh to purānā-pan bhī bachā apne aap meñ
pahchān meñ na aa.e to aisā nayā na ho
vahshat-sarā-e-zīst se uktā ke ek din
thak kar ḳhudā ko jā.iye lekin ḳhudā na ho
qismat ka her-pher kuchh aisa bura na ho
ghar mein bas ek peD ho wo bhi hara na ho
tujh ko ho mere lams ki KHwahish shadid-tar
tujh se tamam 'umr mera samna na ho
daulat ho aur koi bhi masraf na mil sake
ya'ni ki husn ho pa koi dekhta na ho
muddat ke ba'd shahr-e-udasi mein aaj phir
pazeb ki jhanak hai koi saniha na ho
kuchh to purana-pan bhi bacha apne aap mein
pahchan mein na aae to aisa naya na ho
wahshat-sara-e-zist se ukta ke ek din
thak kar KHuda ko jaiye lekin KHuda na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.