Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qismat ko apne likkhe ke tain kaun dho sake

Meerza Jawan Bakht Jahandar

qismat ko apne likkhe ke tain kaun dho sake

Meerza Jawan Bakht Jahandar

MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar

    qismat ko apne likkhe ke ta.iiñ kaun dho sake

    sab ho sake va-lek ye itnā na ho sake

    phūloñ sej us ke liye farsh-e-ḳhār hai

    tujh bin kisī tarah tirā āshiq na ho sake

    tujh bin na kar sake mai-e-ishrat se halq tar

    ḳhūñ-nāb-e-ġham se lab tirā āshiq na ho sake

    gar chāhe gulshan-e-dil-e-pur-dāġh bahār

    tuḳhm-e-ashk jitne ki ai diida bo sake

    dekhā asar tumhārā bhī ai chashm-e-ashk-bār

    kuchh kar sake na us ghar apnā Dubo sake

    dil havas nikāl leñ āh-o-fuġhāñ bhī aap

    ye bhī na darguzar kareñ jo un se ho sake

    na.iiñ jān-o-dil ke khone 'jahāñdār' ko dareġh

    yaad us par na jān-o-dil apne se kho sake

    qismat ko apne likkhe ke tain kaun dho sake

    sab ho sake wa-lek ye itna na ho sake

    phulon ki sej us ke liye farsh-e-KHar hai

    tujh bin kisi tarah tera aashiq na ho sake

    tujh bin na kar sake mai-e-ishrat se halq tar

    KHun-nab-e-gham se lab tera aashiq na ho sake

    gar chahe gulshan-e-dil-e-pur-dagh ki bahaar

    tu tuKHm-e-ashk jitne ki ai dida bo sake

    dekha asar tumhaara bhi ai chashm-e-ashk-bar

    kuchh kar sake na us ka ghar apna Dubo sake

    dil ki hawas nikal len aah-o-fughan bhi aap

    ye bhi na darguzar karen jo un se ho sake

    nain jaan-o-dil ke khone 'jahandar' ko daregh

    yaad us ki par na jaan-o-dil apne se kho sake

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now