qismat mein nek-fal na kal tha na aaj hai
qismat meñ nek-fāl na kal thā na aaj hai
koī sharīk-e-hāl na kal thā na aaj hai
maiñ bhī badal sakā na mizāj apnā aaj tak
us meñ bhī e'tidāl na kal thā na aaj hai
us kī jabīñ pe is liye paḌtī nahīñ shikan
dil māl-e-yarġhamāl na kal thā na aaj hai
jis se mirī hayāt kī baḌh jaa.e tishnagī
nazroñ meñ aisā taal na kal thā na aaj hai
merā harīf ho ke bhalā chāhe vo mirā
vo shaḳhs bā-kamāl na kal thā na aaj hai
qismat mein nek-fal na kal tha na aaj hai
koi sharik-e-haal na kal tha na aaj hai
main bhi badal saka na mizaj apna aaj tak
us mein bhi e'tidal na kal tha na aaj hai
us ki jabin pe is liye paDti nahin shikan
dil mal-e-yarghamal na kal tha na aaj hai
jis se meri hayat ki baDh jae tishnagi
nazron mein aisa tal na kal tha na aaj hai
mera harif ho ke bhala chahe wo mera
wo shaKHs ba-kamal na kal tha na aaj hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.