qismat rawan-dawan hai tabiat dhuan-dhuan
qismat ravāñ-davāñ hai tabī.at dhuāñ-dhuāñ
phirtā huuñ āsmāñ ko liye maiñ kahāñ kahāñ
ye kahkashāñ vo zohra-jabīñ aur āsmāñ
mahsūs kar rahā huuñ maiñ sab ko kashāñ-kashāñ
ai zindagī na kar mujhe majbūr is qadar
phirtā rahūñ maiñ tujh ko liye ab kahāñ kahāñ
'parvez'-e-be-navā kā nahīñ koī bhī nadīm
sab mar chukī haiñ hasrateñ ban kar javāñ javāñ
qismat rawan-dawan hai tabiat dhuan-dhuan
phirta hun aasman ko liye main kahan kahan
ye kahkashan wo zohra-jabin aur aasman
mahsus kar raha hun main sab ko kashan-kashan
ai zindagi na kar mujhe majbur is qadar
phirta rahun main tujh ko liye ab kahan kahan
'parwez'-e-be-nawa ka nahin koi bhi nadim
sab mar chuki hain hasraten ban kar jawan jawan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.