qismat to dekho mah-e-mubin tak pahunch gae
qismat to dekho māh-e-mubīñ tak pahuñch ga.e
ik shab ye hoñT un kī jabīñ tak pahuñch ga.e
sadiyoñ kā fāsla thā hamāre liye magar
tum ek pal meñ haañ se nahīñ tak pahuñch ga.e
ye kis ke naqsh-e-pā pe chale jā rahe the ham
ḳhvāboñ meñ raat 'arsh-e-barīñ tak pahuñch ga.e
dauḌeñge saath saath ragoñ meñ lahū ke ab
ye ġham tumhāre qalb-e-hazīñ tak pahuñch ga.e
baiThā thā jis jagah pe vo mahfil meñ gul-badan
ham bhī sarak sarak ke vahīñ tak pahuñch ga.e
Dartā huuñ chhoḌ deñ na kahīñ naqsh-e-pā yahāñ
'sayyad' vo dil kī narm zamīñ tak pahuñch ga.e
qismat to dekho mah-e-mubin tak pahunch gae
ek shab ye honT un ki jabin tak pahunch gae
sadiyon ka fasla tha hamare liye magar
tum ek pal mein han se nahin tak pahunch gae
ye kis ke naqsh-e-pa pe chale ja rahe the hum
KHwabon mein raat 'arsh-e-barin tak pahunch gae
dauDenge sath sath ragon mein lahu ke ab
ye gham tumhaare qalb-e-hazin tak pahunch gae
baiTha tha jis jagah pe wo mahfil mein gul-badan
hum bhi sarak sarak ke wahin tak pahunch gae
Darta hun chhoD den na kahin naqsh-e-pa yahan
'sayyad' wo dil ki narm zamin tak pahunch gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.