qissa-e-dard muKHtasar bandho
qissa-e-dard muḳhtasar bāñdho
ya.anī dil kī jagah sharar bāñdho
misl-e-jāñ hai ye āsmāñ ḳhālī
kuchh to taare idhar udhar bāñdho
TuuT jā.egī saañs kī Dorī
bojh ġham kā na is qadar bāñdho
tah karo shaam jaltī āñkhoñ se
saath apne bujhī sahar bāñdho
le uḌegā tumheñ ḳhalāoñ meñ
tā.ir-e-ārzū ke par bāñdho
ghanī rāteñ safar meñ ā.eñgī
saath sāmāñ ke kuchh sharar bāñdho
apne hone kī kuchh dalīl to ho
pahlū-e-dil se thoḌā shar bāñdho
qissa-e-dard muKHtasar bandho
yani dil ki jagah sharar bandho
misl-e-jaan hai ye aasman KHali
kuchh to tare idhar udhar bandho
TuT jaegi sans ki Dori
bojh gham ka na is qadar bandho
tah karo sham jalti aankhon se
sath apne bujhi sahar bandho
le uDega tumhein KHalaon mein
tair-e-arzu ke par bandho
ghani raaten safar mein aaengi
sath saman ke kuchh sharar bandho
apne hone ki kuchh dalil to ho
pahlu-e-dil se thoDa shar bandho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.