qissa-e-husn nahin ishq ki rudad nahin
qissa-e-husn nahīñ 'ishq kī rūdād nahīñ
haif ye bazm tire zikr se ābād nahīñ
morid-e-ranj-o-alam kushta-e-bedād nahīñ
vaa.e bar-aish jahāñ mujh ko ḳhudā yaad nahīñ
ham-safīrān-e-chaman vaah ye pursish ye karam
ab mujhe shikva-e-be-mehrī-e-sayyād nahīñ
maiñ huuñ nāshād-e-azal ḳhair magar hairat hai
ishrat-ābād-e-jahāñ meñ bhī koī shaad nahīñ
qissa-e-jaur-e-falak shikva-e-ayyām-e-zubūñ
ek afsāna hai jis kī koī buniyād nahīñ
sarfaroshān-e-mohabbat pe ḳhudā kī rahmat
mudda.ī sab haiñ magar ek bhī fariyād nahīñ
vaah ai manzar-e-ḳhush-vaqtī-e-manzil qurbāñ
dasht-e-ġhurbat kī masā.ib bhī mujhe yaad nahīñ
maiñ ḳhatāvār magar tere karam ke qurbāñ
ek majbūr to yuuñ mustahiq-e-dād nahīñ
'rāz' ye nāma-e-ahsan ye payām-e-izzat
vaa.e taqdīr ki maiñ aaj bhī āzād nahīñ
qissa-e-husn nahin 'ishq ki rudad nahin
haif ye bazm tere zikr se aabaad nahin
morid-e-ranj-o-alam kushta-e-bedad nahin
wae bar-aish jahan mujh ko KHuda yaad nahin
ham-safiran-e-chaman wah ye pursish ye karam
ab mujhe shikwa-e-be-mehri-e-sayyaad nahin
main hun nashad-e-azal KHair magar hairat hai
ishrat-abaad-e-jahan mein bhi koi shad nahin
qissa-e-jaur-e-falak shikwa-e-ayyam-e-zubun
ek afsana hai jis ki koi buniyaad nahin
sarfaroshan-e-mohabbat pe KHuda ki rahmat
muddai sab hain magar ek bhi fariyaad nahin
wah ai manzar-e-KHush-waqti-e-manzil qurban
dasht-e-ghurbat ki masaib bhi mujhe yaad nahin
main KHatawar magar tere karam ke qurban
ek majbur to yun mustahiq-e-dad nahin
'raaz' ye nama-e-ahsan ye payam-e-izzat
wae taqdir ki main aaj bhi aazad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.