qissa-e-jaan-guza kahun na kahun
qissa-e-jāñ-guzā kahūñ na kahūñ
hijr kā mājrā kahūñ na kahūñ
na huī manzil-e-talab hāsil
ḳhizr ko rahnumā kahūñ na kahūñ
ab to is ne bhī saath chhoḌ diyā
umr ko bevafā kahūñ na kahūñ
jab davā fā.eda nahīñ kartī
dard ko be-davā kahūñ na kahūñ
be-riyā.ī meñ fard hai vo bhī
rind ko pārsā kahūñ na kahūñ
jis se paḌ jaa.eñ aable lab par
tum se vo mājrā kahūñ na kahūñ
mujh ko girdāb se bachā laayā
nāḳhudā ko ḳhudā kahūñ na kahūñ
haram-o-dair meñ bhī vo na milā
baḳht ko nā-rasā kahūñ na kahūñ
qissa-e-jaan-guza kahun na kahun
hijr ka majra kahun na kahun
na hui manzil-e-talab hasil
KHizr ko rahnuma kahun na kahun
ab to is ne bhi sath chhoD diya
umr ko bewafa kahun na kahun
jab dawa faeda nahin karti
dard ko be-dawa kahun na kahun
be-riyai mein fard hai wo bhi
rind ko parsa kahun na kahun
jis se paD jaen aable lab par
tum se wo majra kahun na kahun
mujh ko girdab se bacha laya
naKHuda ko KHuda kahun na kahun
haram-o-dair mein bhi wo na mila
baKHt ko na-rasa kahun na kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.