qissa-e-mazi sipurd-e-taq-e-nisyan kar diya
qissa-e-mazi sipurd-e-taq-e-nisyan kar diya
Syed Zaheer Ahmad Zaidi
MORE BYSyed Zaheer Ahmad Zaidi
qissa-e-māzī sipurd-e-tāq-e-nisyāñ kar diyā
zindagī mushkil thī is mushkil ko āsāñ kar diyā
muntashir hai kis qadar shīrāza-e-nazm-e-hayāt
apnī barbādī kā tū ne ḳhud hī sāmāñ kar diyā
ab shikāyat hai tujhe be-mehrī-e-taqdīr kī
in nigāhoñ ne hī vīrāna gulistāñ kar diyā
ab bhī baaqī haiñ tirī azmat ke kuchh zinda nishāñ
terī satvat ne to ik aalam ko larzāñ kar diyā
muztarib huuñ azmat-e-rafta ko paane ke liye
jis ne ā.īn-e-jahāñ-dārī ko hairāñ kar diyā
chāhtā huuñ maiñ ho tajdīd-e-mazāq-e-zindagī
maiñ ne fitrat ke usūloñ ko numāyāñ kar diyā
rahbar-e-insāniyat merī navā merī sadā
aaj ik jins-e-girāñ-māya ko arzāñ kar diyā
qissa-e-mazi sipurd-e-taq-e-nisyan kar diya
zindagi mushkil thi is mushkil ko aasan kar diya
muntashir hai kis qadar shiraaza-e-nazm-e-hayat
apni barbaadi ka tu ne KHud hi saman kar diya
ab shikayat hai tujhe be-mehri-e-taqdir ki
in nigahon ne hi virana gulistan kar diya
ab bhi baqi hain teri azmat ke kuchh zinda nishan
teri satwat ne to ek aalam ko larzan kar diya
muztarib hun azmat-e-rafta ko pane ke liye
jis ne aain-e-jahan-dari ko hairan kar diya
chahta hun main ho tajdid-e-mazaq-e-zindagi
main ne fitrat ke usulon ko numayan kar diya
rahbar-e-insaniyat meri nawa meri sada
aaj ek jins-e-giran-maya ko arzan kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.