qissa-e-naf-o-zarar yaad aaya
qissa-e-naf-o-zarar yaad aaya
phir azīzoñ kā hunar yaad aaya
peT par bāñdh liyā hai patthar
jab kabhī luqma-e-tar yaad aaya
aaya piirī meñ ibādat kā ḳhayāl
haa.e kab zād-e-safar yaad aaya
jab kabhī us ko bhulānā chāhā
vo ba-andāz-e-digar yaad aaya
dekh kar dast-e-hinā.ī un kā
ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-jigar yaad aaya
nahīñ āsān zamīn-e-'ġhālib'
thā hameñ zo.am-e-hunar yaad aaya
koī miltā thā gale ham se 'shakīl'
dekh kar shāne ko sar yaad aaya
qissa-e-naf-o-zarar yaad aaya
phir azizon ka hunar yaad aaya
peT par bandh liya hai patthar
jab kabhi luqma-e-tar yaad aaya
aaya piri mein ibaadat ka KHayal
hae kab zad-e-safar yaad aaya
jab kabhi us ko bhulana chaha
wo ba-andaz-e-digar yaad aaya
dekh kar dast-e-hinai un ka
KHun-e-dil KHun-e-jigar yaad aaya
nahin aasan zamin-e-'ghaalib'
tha hamein zoam-e-hunar yaad aaya
koi milta tha gale hum se 'shakil'
dekh kar shane ko sar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.