qissa-e-silsila-e-zulf na kahna behtar
qissa-e-silsila-e-zulf na kahnā behtar
pech-dar-pech hai ḳhāmosh hī rahnā behtar
zabt-e-girya se jalā kartī haiñ āñkheñ sach hai
band hone se hai nāsūr kā bahnā behtar
donoñ hāthoñ kī tire yaar karūñ kyā tārīf
bāyāñ dahne se to phir baa.eñ se dahnā behtar
yaar ko dekheñge pahnā ke shab-e-mah meñ use
mil gayā koī agar phūloñ kā gahna behtar
nafs-e-ammāra sā rakhtā hai ye sarkash dushman
aadmī ke liye ġhāfil nahīñ rahnā behtar
TeḌhe sīdhe se ġharaz rakhte nahīñ ai 'ātish'
jo kahe yaar hameñ sun ke ye kahnā behtar
qissa-e-silsila-e-zulf na kahna behtar
pech-dar-pech hai KHamosh hi rahna behtar
zabt-e-girya se jala karti hain aankhen sach hai
band hone se hai nasur ka bahna behtar
donon hathon ki tere yar karun kya tarif
bayan dahne se to phir baen se dahna behtar
yar ko dekhenge pahna ke shab-e-mah mein use
mil gaya koi agar phulon ka gahna behtar
nafs-e-ammara sa rakhta hai ye sarkash dushman
aadmi ke liye ghafil nahin rahna behtar
TeDhe sidhe se gharaz rakhte nahin ai 'atish'
jo kahe yar hamein sun ke ye kahna behtar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.