qissa-e-wasl dila lab pe tu lana na kahin
qissa-e-vasl dilā lab pe tū laanā na kahīñ
mujh ko Dar hai koī sun le ye fasāna na kahīñ
chhoḌe jaatā huuñ nishānī maiñ tire paas ye dil
jis tarah chāhe tū rakhiyo pe gañvānā na kahīñ
maiñ lagāvaT jo lagā karne to bolā vo shoḳh
bātoñ bātoñ meñ mujhe haath lagānā na kahīñ
merī vahshat se munādī hai ye nākoñ par aaj
dekhiyo shahr meñ aave vo divānā na kahīñ
chāñdnī kī 'ajab is vaqt hai kaifiyyat vaah
zulf bikhrā ke tū mukhḌe ko chhupānā na kahīñ
qissa-e-wasl dila lab pe tu lana na kahin
mujh ko Dar hai koi sun le ye fasana na kahin
chhoDe jata hun nishani main tere pas ye dil
jis tarah chahe tu rakhiyo pe ganwana na kahin
main lagawaT jo laga karne to bola wo shoKH
baaton baaton mein mujhe hath lagana na kahin
meri wahshat se munadi hai ye nakon par aaj
dekhiyo shahr mein aawe wo diwana na kahin
chandni ki 'ajab is waqt hai kaifiyyat wah
zulf bikhra ke tu mukhDe ko chhupana na kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.