qissa un dinon ka hai jab hamein mohabbat thi
qissa un dinoñ kā hai jab hameñ mohabbat thī
ḳhvāb ik muamma thā niiñd ik aziyyat thī
kyā ajiib rishta thā aag aur paanī kā
maiñ barastā bādal thā aur vo qayāmat thī
ham ki ek duuje par is tarah se lāzim the
mujh ko us kā nashsha thā us ko merī aadat thī
ham bhaTakte phirte the tishnagī ke sahrā meñ
un laboñ pe amrit thā aur mujhe ijāzat thī
raat meñ musāfir thā gul-badan ke rastoñ kā
ang ang ḳhushbū thī kyā hasīñ masāfat thī
ham gunāh-gār-e-shab rokne se rukte kab
umr kā taqāzā thā vaqt kī zarūrat thī
ham 'samīr' kho baiThe maslahat kī rāhoñ meñ
vo jo ik ta.alluq thā vo jo ek nisbat thī
qissa un dinon ka hai jab hamein mohabbat thi
KHwab ek muamma tha nind ek aziyyat thi
kya ajib rishta tha aag aur pani ka
main barasta baadal tha aur wo qayamat thi
hum ki ek duje par is tarah se lazim the
mujh ko us ka nashsha tha us ko meri aadat thi
hum bhaTakte phirte the tishnagi ke sahra mein
un labon pe amrit tha aur mujhe ijazat thi
raat mein musafir tha gul-badan ke raston ka
ang ang KHushbu thi kya hasin masafat thi
hum gunah-gar-e-shab rokne se rukte kab
umr ka taqaza tha waqt ki zarurat thi
hum 'samir' kho baiThe maslahat ki rahon mein
wo jo ek talluq tha wo jo ek nisbat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.