Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qisse meri aashufta-nawai ke bahut the

Majeed Akhtar

qisse meri aashufta-nawai ke bahut the

Majeed Akhtar

MORE BYMajeed Akhtar

    qisse mirī āshufta-navā.ī ke bahut the

    charche tirī añgusht-numā.ī ke bahut the

    duniyā talab se na fursat huī varna

    armān tire dar gadā.ī ke bahut the

    kuchh dil na maa.il huā is raah pe varna

    sāmān to jannat kamā.ī ke bahut the

    kal shab mire kirdār pe tanqīd shab thī

    kirdār meñ pahlū bhī burā.ī ke bahut the

    āzār ḳhaslat bhī thī logoñ meñ numāyāñ

    kuchh shauq bhī is dil ko bhalā.ī ke bahut the

    ab saath nahīñ hai bhī to shikva nahīñ 'aḳhtar'

    ehsān bhī mujh par mire bhaa.ī ke bahut the

    qisse meri aashufta-nawai ke bahut the

    charche teri angusht-numai ke bahut the

    duniya ki talab hi se na fursat hui warna

    arman tere dar ki gadai ke bahut the

    kuchh dil hi na mail hua is rah pe warna

    saman to jannat ki kamai ke bahut the

    kal shab mere kirdar pe tanqid ki shab thi

    kirdar mein pahlu bhi burai ke bahut the

    aazar ki KHaslat bhi thi logon mein numayan

    kuchh shauq bhi is dil ko bhalai ke bahut the

    ab sath nahin hai bhi to shikwa nahin 'aKHtar'

    ehsan bhi mujh par mere bhai ke bahut the

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 458)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now