qubul kash meri itni si guzarish ho
qubūl kaash mirī itnī sī guzārish ho
kisī ke qalb meñ nafrat ho aur na ranjish ho
khileñge phuul yaqīnan ḳhizāñ meñ chāhat ke
jo shāḳh-e-dil pe sanam aap kī navāzish ho
dhuāñ sā uThtā ho jis ke malūl chehre se
to phir zarūrī hai dil bhī shikār-e-ātish ho
hue haiñ ġhair tire apne kyoñ kabhī sochā
tire ḳhilāf ye apnoñ kī hī na sāzish ho
chalo miTā.eñ adāvat kī rasm duniyā se
vafā pe pahra na chāhat pe koī bandish ho
ḳhizāñ-rasīda hai gulshan ye qalb-e-muztar kā
kahīñ ujaḌ hī na jaa.e ḳhushī kī bārish ho
mujhe yaqīn hai manzil vo 'sād' pā.egā
ho jis ke dil meñ lagan aur sachchī ḳhvāhish ho
qubul kash meri itni si guzarish ho
kisi ke qalb mein nafrat ho aur na ranjish ho
khilenge phul yaqinan KHizan mein chahat ke
jo shaKH-e-dil pe sanam aap ki nawazish ho
dhuan sa uThta ho jis ke malul chehre se
to phir zaruri hai dil bhi shikar-e-atish ho
hue hain ghair tere apne kyon kabhi socha
tere KHilaf ye apnon ki hi na sazish ho
chalo miTaen adawat ki rasm duniya se
wafa pe pahra na chahat pe koi bandish ho
KHizan-rasida hai gulshan ye qalb-e-muztar ka
kahin ujaD hi na jae KHushi ki barish ho
mujhe yaqin hai manzil wo 'sad' paega
ho jis ke dil mein lagan aur sachchi KHwahish ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.