qudrat ka sarsabz bichhauna achchha lagta hai
qudrat kā sarsabz bichhaunā achchhā lagtā hai
khulī fazā meñ ghaas pe sonā achchhā lagtā hai
shaam Dhale jab shāḳh pe chiḌiyāñ naġhme gaatī haiñ
mujh ko tere saath meñ honā achchhā lagtā hai
har ek chiiz jo apnī jagah par sajī sajā.ī ho
ḳhud hī ghar kā konā konā achchhā lagtā hai
tum kyā jaano rah rah kaise paate haiñ manzil
tum ko to bas ḳhvāb salonā achchhā lagtā hai
mere gaañv ke log bhī kitne bhole-bhāle haiñ
aaj bhī un ko jādū-Tonā achchhā lagtā hai
qudrat ka sarsabz bichhauna achchha lagta hai
khuli faza mein ghas pe sona achchha lagta hai
sham Dhale jab shaKH pe chiDiyan naghme gati hain
mujh ko tere sath mein hona achchha lagta hai
har ek chiz jo apni jagah par saji sajai ho
KHud hi ghar ka kona kona achchha lagta hai
tum kya jaano rah rah kaise pate hain manzil
tum ko to bas KHwab salona achchha lagta hai
mere ganw ke log bhi kitne bhole-bhaale hain
aaj bhi un ko jadu-Tona achchha lagta hai
- Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.