qudrat ki adalat mein kanTon ki shikayat hai
qudrat kī adālat meñ kāñToñ kī shikāyat hai
har baaġh meñ phūloñ kī fitrat meñ ra.ūnat hai
samjhā do farishtoñ ko kis kī mujhe hasrat hai
huuñ jis kā tamannā.ī naam us kā mohabbat hai
is darja mohabbat hai ik duuje se donoñ ko
maiñ us kī zarūrat huuñ vo merī zarūrat hai
ye kis kī itā.at meñ dil merā dukhā baiThe
tasvīr meñ jā baiThe ye kaisī sharārat hai
vo zulf-e-pareshāñ bhī kyā ḳhuub nazar aa.ī
lahrā.e to bādal sī bal khaa.e qayāmat hai
ab maulā muhāfiz hai nau-ḳhez sī kaliyoñ kā
phūloñ kī riyāsat meñ kāñToñ kī hukūmat hai
aalam meñ javānī ke maġhrūr thā pahle to
kyuuñ chāñd ko tāroñ se ab itnī shikāyat hai
iqrār-e-vafā kar ke siina se lagāyā jo
ye un kī mohabbat hai ye un kī ināyat hai
ham hī to nahīñ tanhā sab ishq ke maare haiñ
har dil pe chaḌhī dekho ulfat kī harārat hai
tafrīh ko nikle haiñ ham shahr meñ saj-dhaj ke
un ko jo shikāyat hai itnī sī shikāyat hai
ik til ke izāfe ne barbād kiyā 'armān'
be-dām phañse āshiq ye husn kī fitrat hai
qudrat ki adalat mein kanTon ki shikayat hai
har bagh mein phulon ki fitrat mein raunat hai
samjha do farishton ko kis ki mujhe hasrat hai
hun jis ka tamannai nam us ka mohabbat hai
is darja mohabbat hai ek duje se donon ko
main us ki zarurat hun wo meri zarurat hai
ye kis ki itaat mein dil mera dukha baiThe
taswir mein ja baiThe ye kaisi shararat hai
wo zulf-e-pareshan bhi kya KHub nazar aai
lahrae to baadal si bal khae qayamat hai
ab maula muhafiz hai nau-KHez si kaliyon ka
phulon ki riyasat mein kanTon ki hukumat hai
aalam mein jawani ke maghrur tha pahle to
kyun chand ko taron se ab itni shikayat hai
iqrar-e-wafa kar ke sina se lagaya jo
ye un ki mohabbat hai ye un ki inayat hai
hum hi to nahin tanha sab ishq ke mare hain
har dil pe chaDhi dekho ulfat ki hararat hai
tafrih ko nikle hain hum shahr mein saj-dhaj ke
un ko jo shikayat hai itni si shikayat hai
ek til ke izafe ne barbaad kiya 'arman'
be-dam phanse aashiq ye husn ki fitrat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.