qudrat ne di hai mujhko bahaar-afrin nazar
qudrat ne dī hai mujh ko bahār-āfrīñ nazar
kitnī hasīñ nazar hai ye kitnī hasīñ nazar
dekhī nishān-e-sajde meñ tasvīr husn kī
raushan huī to ban ga.ī merī hasīñ nazar
madfan meñ ham to aa.e the duniyā ko chhoḌ kar
duniyā ik aur aatī hai zer-e-zamīñ nazar
chhup kar hijāb-e-nāz meñ bhī vo na chhup sake
allah re shauq-e-dīd kī pahuñchī vahīñ nazar
vo aa.eñ bhī to maiñ unheñ dekhūñgā kis tarah
detī nahīñ hai kaam dam-e-vāpsīñ nazar
majbūriyāñ bhī saath rahīñ iḳhtiyār meñ
rahtā hai dil meñ vo magar aatā nahīñ nazar
maiñ hāl-e-be-ḳhudī bhī kahūñ tum se kyā 'zabīh'
baiThā huā kahīñ huuñ magar hai kahīñ nazar
qudrat ne di hai mujh ko bahaar-afrin nazar
kitni hasin nazar hai ye kitni hasin nazar
dekhi nishan-e-sajde mein taswir husn ki
raushan hui to ban gai meri hasin nazar
madfan mein hum to aae the duniya ko chhoD kar
duniya ek aur aati hai zer-e-zamin nazar
chhup kar hijab-e-naz mein bhi wo na chhup sake
allah re shauq-e-did ki pahunchi wahin nazar
wo aaen bhi to main unhen dekhunga kis tarah
deti nahin hai kaam dam-e-wapsin nazar
majburiyan bhi sath rahin iKHtiyar mein
rahta hai dil mein wo magar aata nahin nazar
main haal-e-be-KHudi bhi kahun tum se kya 'zabih'
baiTha hua kahin hun magar hai kahin nazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.